Tuesday, November 11, 2008

Honesty is the best policy

Honesty is best policy..huh... People will call you Gandhi if you actually believe it.. but as if I care..

leave it.. so the point is..we humans have a tendency to follow certain lead.. or a reference frame to measure our steps.. and the frame is obviously not absolute.. so you cant ever have one final verdict..

But do you realize a fact...belief is most complying way out. Be honest to yourself… and honesty means with everyone. Do justice to yourself.. regardless of what others think about you. If you think that you should not tell a lie… then don't, whatever may be the consequences. If you think you are deceived… cry out loud. No matter what kind of shit will people think about you...Let’s take my example.. My "prolific" friends say "tere ko to kisi bhi random bande se load ho jaata hai". ok.. I accept.. I don’t find most peoples' behavior good enough...and I never act like that I like them... I express it. I simply tell I don't like them. No middle way out. I hate diplomats. I like fair and square people. You might argue that life is not fair ‘n’ square. It’s because there are folks out there with you kind of thinking. I can't do "injustice" to myself. And I feel bad for those who do.


Lets take one more example. People lie in their resume. I could not. Once I evinced the thought to a friend. I said "log kaise apne resume mein jhooth likh dete hain yaar.. mere se ek word nahin likha jaata..".. Ok, that’s about me. I can’t. He argued “what the hell have you to do about it"... I just casually answered "are kabhi kabhi aise mein hamara kat sakta hai... koi jhooth likh kar kahin ghush jaayega.. hum bahar khade munh taakte rah kaayenge".. His justification was" As long as you can defend something, you can write it in your resume"…with a life altering proposition “STRENGTHEN YOURSELF SO THAT NO ONE CAN SCREW YOU"..No one can screw me. I am just having an opinion about pathetic people. DO I NEED PEMISSION FOR THAT...

Next thing… Hypocrites.. Dude...at least have a thought and try to stand beside it. You are not expected to be the next Mahatma Gandhi… try to follow what you actually think.. I won't point out people.They know whom I am talking about. If you can’t abide by your own opinion.. DONT HAVE ONE.

Next thing. I am not asking you to be a saint. People commit crime… circumstances make them this way...but at least I can expect that you know exactly what you are doing. You are killing you time.. just goofing around... you should know that. If you think that you should not do something… and still you doing…and vice-versa... YOU ARE A LOOSER... that’s actually the definition of looser by me.. Big wins doesn’t make big winners... big efforts surely does... (I might sound a bit like Shiv Kheda... but again ..as if I care..)

So finally I will say "Honesty is the best policy".. I am sounding a bit idealistic... But again... I dont give a damn about what you think of me.

Last words.. Some people think a lot.. some speak a lot.. its upto you where you would like to stand.. both ways at least Don't Do Injustice to Yourself.

A lot can be written on the point, but I will conclude myself.

Monday, June 16, 2008

Milan

kuchh cheezen bahut pyaari nahin hoti?
jaise tumhari muskaan..
tumhari haya..
woh dabe se honthon se 2 shabdon ka gir padna..."nahin na"...

woh halke se tuhaare gaalon pe chhoona..
halke se tumhare honthon pe choomna..
aur tumhara chehra lal ho jana..

toot ke meri banhon mein gir jana..
dheere se kaan mein kuchh jana..
najuk si hatheli mere maathe se firate huye gardan tak le aana..

tumhara jor se chillana.."samajh kya rakha hai apne aap ko"..
aur fir dheere se kehna.."jab main nahin hoóongi, tab pata chalega"..

dheere se tuhara sab se nazaren chura ke mere paas aana...
aur daud ke mujhse lipat jana..

aankhon mein aankhen mila ke dekhna..
aur kehna.."kucch hai hi nahin mere paas to kehne ko"..


daantane ke baad tumhari shikaayat.."mere ko danta..jor se"..
aur kabhi pyaar na karo to..äap to mujhe pyaar hi nahin karte..jao to main bhi nahin karti"..

sab pareshaaniyan chhupa ke kehna.."sab thik ho jayega"..
maloom tumhen bhi hai
maloom humen bhi hai..
tumhare mere pyaar ki boli to duniya ke bazar mein lagegi..
hum jeet gaye to..to ish kavita mein kuchh lines aur jud jayegi..

warna hamara kya hai...
kuchh cheezen to bahut pyaari hain hi na..

Friday, February 22, 2008

YAAD

Raat aadhi
kheench kar meri hatheli
Ek ungli se likha tha.....
"pyaar "; tumne...

Faasla tha kuchh hamare bistaron mein
aur charon or duniya so rahi thi
Tarikayen hi gagan ki jaanti hai
Jo dasha dil ki tumhare ho rahi thi

main tumhare paas hokar door tumse
Adh-jaga sa aur adh-soya sa....

Raat aankhon mein kati
Na tum soyi..
Na main Jaga..

Tumhare ush kaampate badan ki sirhan...
ush najuk se sparsh ki kampan..
tumhaari sanson ka wo shor..
adharon ki chanchal Si muskan..
tumhaari awaaz ki wo laraz..
dil ki baichaini..

hawa ki thandak..
kambal ki garmi..
chaand ki snigdh dhaval chandani..
dOOOOr kahin se aati wo halki diye ki roshni..
jo apne hone ka ehsaas maatra hi kara paati thi..
taaron ki tim-tim..

aatm se dOOr do aatma..
brahm se pare..Par Bhahma ke kareeb..
nashvarta se un-bhigya..par saTya ka sansarg..
karm ke saaraNsh se dOOr..
sWayaM.. aur pAraM..
Gyaan ki seema jahaan baDha na bane..

PREM!!
dO dilon ka milan..
dO shariron ka milan..
dO anant ajar amar aatmaon ka milan..

waqt beeta..beetna hi tha..
par WO WAQT nahin..

PYAAR ki woh lakeeren..
Ab tak meri hatheli pe hain...
Waqt ki dhool maine unpe jamne na di..

Chaand ko dekh tumhari muskaan yaad aati hai...
Tumhare unn masoom honthon ki chhuhan yaad aati hai...

Abb raha hi kya jeevan mein..
Bas main.. Aur tumhari woh unchhui se yaaden...

( Initial lines are not originally mine....)

Thursday, January 10, 2008

Bas ek kahani...

Arsa hua purane sahar mein aaye. 10 saal hue honge jab aakhiri baar in galiyon ko dekha tha. Shaadi ke baad pehli baar hi aa payi hoon. Sab badla sa hai. College ke din yaad aa gaye. Girls' Hostel pahunchi to sab aankho ke saamne ghoom gaya.. woh college ki masti..woh dhoom...sab aaj bhi dil mein waisa ka waisa hai. Warden se pata chala ki meri sabse acchi dost bhi aajkal isi sahar mein rah rahi hai. Khushi ka to koi thikana na tha.
Address pata kar ke jaldi se uske ghar pahunchi. Mann jaise jhoom utha. Jamane baad kisi se itni khul ke baatein ki. Beeta waqt jaise aankhin ke saamne aa gaya ho.
Achanak "uski" yaad aayi. Meri dost hamari mediator hua karti thi. "Woh kahaan hai aajkal? Kya kar raha hai? Unn dinon mein to sabse brilliant hua karta tha na. lagta hai Jaise sadiyon purani baat ho." " Are tumko pata nahin? Kaafi saalon tak yahin galiyon mein mara-mara firta raha. Pagal-sa ho gaya tha. Pichhle kuchh saalon se to kisi ko pata bhi nahin ki kahaan gaya."
Dil kahin kho gaya. "Tumhare bina kaise ji paoongi? Kaise rahoongi main tumahare bina?" Jaise aankhon mein sagar samaya ho. saari duniya ko kosate do dil ek doosre se lipate the. "Shayad bhagwan ne yahi likha tha hamari taqdeer mein. Tum apna khayal rakhna. Aur roz raat ko "wo" chand dekhna. Woh tumhen mere kareeb le aayega."
Aaj main ek mahanagar ke bade se flat mein rehti hoon. Duniya ki bhag daud me jaane kab "wo" chand nikalata hai...kab doob jata hai; hunh ; khabar hi nahin hoti. Shayad chand mein daag meri hi vajah se hai.

Nafrat

Nafrat ki ho gayi jeet, jagat re khushi manao;
Lo haar gayi meri preet, Jagat re khushi manao...

Tinka-tinka jod ke maine, rishta ek sajaya...
Rishte mein padi darar, jagat re khushi manao....

Prem ke do aakhar ko maine, dil me mere basaya...
Par dil hi gaya mera toot, jagat re khushi manao...

Chanda-taare dekh ke maine, ragini ek banayi...
Sur, par saje "virag", jagat re khushi manao...