Friday, February 22, 2008

YAAD

Raat aadhi
kheench kar meri hatheli
Ek ungli se likha tha.....
"pyaar "; tumne...

Faasla tha kuchh hamare bistaron mein
aur charon or duniya so rahi thi
Tarikayen hi gagan ki jaanti hai
Jo dasha dil ki tumhare ho rahi thi

main tumhare paas hokar door tumse
Adh-jaga sa aur adh-soya sa....

Raat aankhon mein kati
Na tum soyi..
Na main Jaga..

Tumhare ush kaampate badan ki sirhan...
ush najuk se sparsh ki kampan..
tumhaari sanson ka wo shor..
adharon ki chanchal Si muskan..
tumhaari awaaz ki wo laraz..
dil ki baichaini..

hawa ki thandak..
kambal ki garmi..
chaand ki snigdh dhaval chandani..
dOOOOr kahin se aati wo halki diye ki roshni..
jo apne hone ka ehsaas maatra hi kara paati thi..
taaron ki tim-tim..

aatm se dOOr do aatma..
brahm se pare..Par Bhahma ke kareeb..
nashvarta se un-bhigya..par saTya ka sansarg..
karm ke saaraNsh se dOOr..
sWayaM.. aur pAraM..
Gyaan ki seema jahaan baDha na bane..

PREM!!
dO dilon ka milan..
dO shariron ka milan..
dO anant ajar amar aatmaon ka milan..

waqt beeta..beetna hi tha..
par WO WAQT nahin..

PYAAR ki woh lakeeren..
Ab tak meri hatheli pe hain...
Waqt ki dhool maine unpe jamne na di..

Chaand ko dekh tumhari muskaan yaad aati hai...
Tumhare unn masoom honthon ki chhuhan yaad aati hai...

Abb raha hi kya jeevan mein..
Bas main.. Aur tumhari woh unchhui se yaaden...

( Initial lines are not originally mine....)