Friday, May 18, 2007

Meri Khudai

mein mere gusse pe fida rehta hoon.
Ish jamane se khafa rehta hoon.
Mujhese milna hai to tenhaai mein mil.
Tenhaai mein mein khuda rehta hoon.


Wats perfect???How can u say wat is wrong n wats right....
It depends...on ur definition...every thought...everything is right...

KYON

Ek dhalti shaam; samandar ka kinara....
Thandi hawa ka jhonka barbas mere kaan ke paas se nikal sa jaata hai...
Main chaunk jaata hoon...
Kuchh kahna chahta tha kya??


Lekin ye to aaj pehli baar nahin hua hai..
Main sadiyon se isi samandar ke kinare baitha hoon....
Kisi saathi ki khoj; ya saathi ki pyaas??
Huhhh....Milon lamba waqt gujarne ke baad;
Abhi bhi sawaal...KYON???


Anjaan sa kaafila;
Gujarata rahta hai paas se...
Kuchh jaane, kuchh anjaane...
Anjaanon ko jaanane ki chah;
Jaanon ki milne ki tamanna;


Ek muskaan bikhri hai honthon pe?!
Aah...Main khud nahin samajh pa raha ki KYON?
Barbas ki kisi ka chehra aankhon mein ghul jaata hai...
Muskaan mein Mann ki shaanti chhalak padti hai...

Anjaan se milne ki aarjoo;
Aatm-vanchana ( Deceiving yourself ) ka paritosh (happiness);
Kshan (A moment ) bhar ki khushi...
Pani ka bulbula....
Par mushkan to hai honthon pe..

Fir wohi sawal...
Aahh...ye anjan kaun hai?
Haaa...sab koi to anjaan hain...
Main "khud" se anjaan..
"Khud" mujh se anjaan..

Kaarwan bahut bada lagata hai ish baar;
Khushi hogi agar ki kisi ke pair ke nishaan reth pe choote to..
Saamne ke samandar mein itna josh bhi nahin lag raha..
Ki itni door tak laharen pahuncha de...

Par reth ke nishaan to waqt mita dega...
Par dil pe nishaan??


Dil????
Ye kya hai?
Mera astitva ka doosra panna?
Ya mere vajood ka antim chhor?

Mann ka attahaas...

Mann???
Ye kya hai?
Dil ka saathi?
Ya dushman?

Inhi prashnon ko lekar to aaya tha yahaan..
Par aaj bhi wohin hai sab kuchh..
Kuchh nahin badla..
Badla mere dekhne ka nazaria?
Nahin to..

Haan par badli ek cheez..
Logon ke dikhane ka nazaria..
Logon ke saamne pesh aane ka tareeka..

Haan ye badla..
Ya badlana pada..
Khair...Par badla..
Jaroori tha..

Ye dil aur mann ki ladai mein jeet khushi ki hui...

Doosron ki khushi ne mazboor kiya..
Badla maine khud ko...
Ya "khud" ke ek hisse ko..

Koi baat nahin...badlna to ek bham maatra hai..
Badlta kuchh bhi nahin..
Waqt hi shashvat hai...Ananth hai....

Shabd jadoo hai..
ish jadoo ne bandha hai mujhe..

Par kahaan...
Bandhna main khud hi chahta tha...
Jab mera "khud" ye soch sakta hai ki main bandha hoon..
To bandhit kahaan...

Ish bandhan ko todna mushqil nahin..
Par todna chahta nahin..

"KYON?!"... "KHUSHI" ki meri apni paribhasha(definition) hai hai;apni kahaani hai...